agar aan chashm-e-mast uski mara kar le asir aakHir

agar aan chashm-e-mast uski mara kar le asir aakHir
Akif Hussain Shahwali
MORE BYAkif Hussain Shahwali
agar aañ chashm-e-mast us kī marā kar le asiir ākHir
maiñ vārūñ ’arsh-o-aflāk-o-zamīn-o-kā.ināt āḳhir
nazar aa.e tajallī jab miTā har naqsh-e-hastī ho
huvaidā ho dil-e-'āshiq meñ soz-e-mumkināt ākHir
sharāb-e-’ishq ke sāġhar pilā saaqī mujhe aisā
ki har zarra kare sajda bane ḳhud kā.ināt ākHir
ba-sad nāz-o-’ajab aa.ī vo jab rañgīñ 'abā pahne
bichhā dī raah meñ maiñ ne matā’-e-kā.ināt āḳhir
ye vo manzil nahīñ saaqī jahāñ zanjīr-e-'aql aa.e
yahāñ jo Duub kar niklā use miltī najāt ākHir
tirī zulfoñ kī har laT meñ chhupe asrār haiñ kitne
ki har 'ambar fazā kartī hai bād-e-kā.ināt ākHir
jo dariyā Dūbne vaale unheñ sāhil kī ḳhvāhish kyā
yahāñ bas ek tūfāñ hai vahāñ haiñ mo’jizāt ākHir
ḳhudā-yā vasl kī lazzat dikhā de aañkh ko aisī
ki har manzar meñ ho jalva tire husn-o-sifāt āḳhir
yahī dīvāngī ‘naushā’ yahī rāz-e-haqīqat hai
ki jo hai 'ishq meñ gum yaañ vo paatā hai najāt ākHir
agar aan chashm-e-mast us ki mara kar le asir aakHir
main warun ’arsh-o-aflak-o-zamin-o-kainat aaKHir
nazar aae tajalli jab miTa har naqsh-e-hasti ho
huwaida ho dil-e-'ashiq mein soz-e-mumkinat aakHir
sharab-e-’ishq ke saghar pila saqi mujhe aisa
ki har zarra kare sajda bane KHud kainat aakHir
ba-sad naz-o-’ajab aai wo jab rangin 'aba pahne
bichha di rah mein main ne mata’-e-kainat aaKHir
ye wo manzil nahin saqi jahan zanjir-e-'aql aae
yahan jo Dub kar nikla use milti najat aakHir
teri zulfon ki har laT mein chhupe asrar hain kitne
ki har 'ambar faza karti hai baad-e-kainat aakHir
jo dariya Dubne wale unhen sahil ki KHwahish kya
yahan bas ek tufan hai wahan hain mo’jizat aakHir
KHuda-ya wasl ki lazzat dikha de aankh ko aisi
ki har manzar mein ho jalwa tere husn-o-sifat aaKHir
yahi diwangi ‘nausha’ yahi raaz-e-haqiqat hai
ki jo hai 'ishq mein gum yan wo pata hai najat aakHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.