Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin

Jigar Moradabadi

allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin

Jigar Moradabadi

allāh agar taufīq na de insān ke bas kaam nahīñ

faizān-e-mohabbat aam sahī irfān-e-mohabbat aam nahīñ

ye ne kahā kyā ai nādāñ fayyāzī-e-qudrat aam nahīñ

fikr o nazar to paidā kar kyā chiiz hai jo in.aam nahīñ

yā-rab ye maqām-e-ishq hai kyā go dīda-o-dil nākām nahīñ

taskīn hai aur taskīn nahīñ ārām hai aur ārām nahīñ

kyuuñ mast-e-sharāb-e-aish-o-tarab taklīf-e-tavajjoh farmā.eñ

āvāz-e-shikast-e-dil to hai āvāz-e-shikast-e-jām nahīñ

aanā hai jo bazm-e-jānāñ meñ pindār-e-ḳhudī ko toḌ ke aa

ai hosh-o-ḳhirad ke dīvāne yaañ hosh-o-ḳhirad kaam nahīñ

zāhid ne kuchh is andāz se saaqī nigāheñ paḌne lagīñ

mai-kash yahī ab tak samjhe the shā.ista daur-e-jām nahīñ

ishq aur gavārā ḳhud kar le be-shart shikast-e-fāsh apnī

dil bhī kuchh un ke sāzish hai tanhā ye nazar kaam nahīñ

sab jis ko asīrī kahte haiñ vo to hai amīrī lekin

vo kaun āzādī hai yahāñ jo aap ḳhud apnā daam nahīñ

allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin

faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin

ye tu ne kaha kya ai nadan fayyazi-e-qudrat aam nahin

tu fikr o nazar to paida kar kya chiz hai jo inam nahin

ya-rab ye maqam-e-ishq hai kya go dida-o-dil nakaam nahin

taskin hai aur taskin nahin aaram hai aur aaram nahin

kyun mast-e-sharab-e-aish-o-tarab taklif-e-tawajjoh farmaen

aawaz-e-shikast-e-dil hi to hai aawaz-e-shikast-e-jam nahin

aana hai jo bazm-e-jaanan mein pindar-e-KHudi ko toD ke aa

ai hosh-o-KHirad ke diwane yan hosh-o-KHirad ka kaam nahin

zahid ne kuchh is andaz se pi saqi ki nigahen paDne lagin

mai-kash yahi ab tak samjhe the shaista daur-e-jam nahin

ishq aur gawara KHud kar le be-shart shikast-e-fash apni

dil ki bhi kuchh un ke sazish hai tanha ye nazar ka kaam nahin

sab jis ko asiri kahte hain wo to hai amiri hi lekin

wo kaun si aazadi hai yahan jo aap KHud apna dam nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now