allah-re faiz ek jahan mustafid hai
allāh-re faiz ek jahāñ mustafīd hai
har mast mere pīr-e-muġhāñ kā murīd hai
vaa.iz abas ye zikr-e-azāb-e-shadīd hai
ik tauba qufl-e-rahmat-e-haq kī kalīd hai
vahshat ne ham ko jāma-e-ḳhākī pahnā diyā
ai aql ab ye kaahe kī qat-o-burīd hai
ai rah-ravān-e-jāda-e-ulfat baḌhe chalo
ye kis ne kah diyā hai ki manzil ba.iid hai
kyūñ-kar na qurb-e-haq kī taraf dil mirā kījiye
gardan asīr-e-halqa-e-habl-ul-varīd hai
ab jām-e-jam kī mujh ko zarūrat nahīñ rahī
vo dil milā hai jis meñ do-ālam kī diid hai
vallail hai ki zulf-e-muammar huzūr kī
ye rū-e-pāk hai ki kalām-e-majīd hai
halkī sī ik ḳharāsh hai qāsid ke halaq par
ye ḳhat javāb-e-ḳhat hai ki ḳhat kī rasīd hai
ḳhanjar-ba-kaf vo kahte haiñ ab aa.e sāmne
kis ko ḳhayāl-e-vasl hai armān-e-dīd hai
mujh ḳhasta-dil kī iid kā kyā pūchhnā huzūr
jin ke gale se aap mile un kī iid hai
tū dekhe aur bande pe tere azaab ho
yā-rab ye terī shān-e-karam se ba.iid hai
shīshe kā mo'taqid hai irādat hai jaam se
kis pīr-e-mai-farosh kā 'bedam' murīd hai
allah-re faiz ek jahan mustafid hai
har mast mere pir-e-mughan ka murid hai
waiz abas ye zikr-e-azab-e-shadid hai
ek tauba qufl-e-rahmat-e-haq ki kalid hai
wahshat ne hum ko jama-e-KHaki pahna diya
ai aql ab ye kahe ki qat-o-burid hai
ai rah-rawan-e-jada-e-ulfat baDhe chalo
ye kis ne kah diya hai ki manzil baid hai
kyun-kar na qurb-e-haq ki taraf dil mera kijiye
gardan asir-e-halqa-e-habl-ul-warid hai
ab jam-e-jam ki mujh ko zarurat nahin rahi
wo dil mila hai jis mein do-alam ki did hai
wallail hai ki zulf-e-muammar huzur ki
ye ru-e-pak hai ki kalam-e-majid hai
halki si ek KHarash hai qasid ke halaq par
ye KHat jawab-e-KHat hai ki KHat ki rasid hai
KHanjar-ba-kaf wo kahte hain ab aae samne
kis ko KHayal-e-wasl hai arman-e-did hai
mujh KHasta-dil ki id ka kya puchhna huzur
jin ke gale se aap mile un ki id hai
tu dekhe aur bande pe tere azab ho
ya-rab ye teri shan-e-karam se baid hai
shishe ka mo'taqid hai iradat hai jam se
kis pir-e-mai-farosh ka 'bedam' murid hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.