shauq ke laeq bana arman ke qabil bana
shauq ke laa.eq banā armān ke qābil banā
ahl-e-dil banñe kī hasrat hai to dil ko dil banā
phir na.e sar se junūn-e-qais kī buniyād rakh
phir na.ī laila banā naaqa banā mahmil banā
ye to samjhe aaj āzād ek kāmil fard hai
ye na samjhe ek nāqis kis tarah kāmil banā
shauq ke laeq bana arman ke qabil bana
ahl-e-dil banne ki hasrat hai to dil ko dil bana
phir nae sar se junun-e-qais ki buniyaad rakh
phir nai laila bana naqa bana mahmil bana
ye to samjhe aaj aazad ek kaamil fard hai
ye na samjhe ek naqis kis tarah kaamil bana
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.I (Pg. 72)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.