tabassum ki bijli giraata chala ja
tabassum kī bijlī girātā chalā jā
tire sadqe mujh ko miTātā chalā jā
mazā aa rahā hai taḌapne meñ mujh ko
zarā sā sitam aur Dhātā chalā jā
tujhe hosh meñ aakar rusvā na kar duuñ
nigāhoñ se phir kuchh pilātā chalā jā
javānī ho 'altāf' yā 'ahd-e-pīrī
rah-e-'ishq meñ sab luTātā chalā jā
tabassum ki bijli giraata chala ja
tere sadqe mujh ko miTata chala ja
maza aa raha hai taDapne mein mujh ko
zara sa sitam aur Dhata chala ja
tujhe hosh mein aakar ruswa na kar dun
nigahon se phir kuchh pilata chala ja
jawani ho 'altaf' ya 'ahd-e-piri
rah-e-'ishq mein sab luTata chala ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.