ai josh-e-junun aa mujhe diwana bana de
ai josh-e-junūñ aa mujhe dīvāna banā de
yā 'ishq kī duniyā hī se begāna banā de
is shoḳh kī allāh re vo mast nigāhī
kā'ba ko bhī gar chāhe tū mai-ḳhāna banā de
majnūñ kī tarah thāme hue dil ko phirūñ maiñ
ai dard kahīñ uTh ke tū aisā na banā de
har jā pe nazar aa.e mujhe husn kā 'ālam
allāh mirī aañkh meñ but-ḳhāna banā de
'altāf' mirā 'ishq bhī kis darja hasīñ hai
jis jā pe machal jaa.e parī-ḳhāna banā de
ai josh-e-junun aa mujhe diwana bana de
ya 'ishq ki duniya hi se begana bana de
is shoKH ki allah re wo mast nigahi
ka'ba ko bhi gar chahe tu mai-KHana bana de
majnun ki tarah thame hue dil ko phirun main
ai dard kahin uTh ke tu aisa na bana de
har ja pe nazar aae mujhe husn ka 'alam
allah meri aankh mein but-KHana bana de
'altaf' mera 'ishq bhi kis darja hasin hai
jis ja pe machal jae pari-KHana bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.