waiz tere liye tera iman hai zindagi
vā'iz tire liye tirā īmāñ hai zindagī
mere liye to jalva-e-jānāñ hai zindagī
ik jumbish-e-nigāh kī mehmāñ hai zindagī
saaqī tirī nigāh meñ pinhāñ hai zindagī
hañs karke dekhnā tirā chilman se jhāñk kar
itnī sī baat par merī nāzāñ hai zindagī
ai jān-e-nau-bahār sukūn-e-dil-o-jigar
gar tū nahīñ to be-sar-o-sāmāñ hai zindagī
ban-Than ke kis tarah se vo nikle haiñ ghar se aaj
har ik adaa.e dost pe qurbāñ hai zindagī
ai yaad yaar kyuuñ na mujhe dil meñ biThā.ūñ
tere baġhair bas merī vīrāñ hai zindagī
ho jaa.e ai 'amīr' jo apne nasīb meñ
mastī-bharī nigāh kā paikāñ hai zindagī
wa'iz tere liye tera iman hai zindagi
mere liye to jalwa-e-jaanan hai zindagi
ek jumbish-e-nigah ki mehman hai zindagi
saqi teri nigah mein pinhan hai zindagi
hans karke dekhna tera chilman se jhank kar
itni si baat par meri nazan hai zindagi
ai jaan-e-nau-bahaar sukun-e-dil-o-jigar
gar tu nahin to be-sar-o-saman hai zindagi
ban-Than ke kis tarah se wo nikle hain ghar se aaj
har ek adae dost pe qurban hai zindagi
ai yaad yar kyun na mujhe dil mein biThaun
tere baghair bas meri viran hai zindagi
ho jae ai 'amir' jo apne nasib mein
masti-bhari nigah ka paikan hai zindagi
- Book : Kalaam-e-Ameer Sabri (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.