us chaman mein sada bahaar nahin
us chaman meñ sadā bahār nahīñ
rañg-e-duniyā kā e'tibār nahīñ
bulbule ko sukūn ho kyūñ-kar
ḳhud samandar ko jab qarār nahīñ
haañ kā bhī koī vaqt aa.egā
kab tak āḳhir ye bār-bār nahīñ
ḳhvāb par be-qayās be-dārī
donoñ hālat meñ iḳhtiyār nahīñ
us ke va.ade kā kyā bharosa hai
jis ko ik aan bhī qarār nahīñ
kis qadar saaf dil rahā 'amjad'
us kī miTTī meñ bhī ġhubār nahīñ
us chaman mein sada bahaar nahin
rang-e-duniya ka e'tibar nahin
bulbule ko sukun ho kyun-kar
KHud samandar ko jab qarar nahin
han ka bhi koi waqt aaega
kab tak aaKHir ye bar-bar nahin
KHwab par be-qayas be-dari
donon haalat mein iKHtiyar nahin
us ke wade ka kya bharosa hai
jis ko ek aan bhi qarar nahin
kis qadar saf dil raha 'amjad'
us ki miTTi mein bhi ghubar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.