aalam mein har ek us ka shaida nazar aata hai
'ālam meñ har ik us kā shaidā nazar aatā hai
us tuur kā har zarra muusā nazar aatā hai
bande kī ma'iyyat meñ maulā nazar aatā hai
qatre kī haqīqat meñ dariyā nazar aatā hai
dariyā ke tajassus meñ pyāsā hī nahīñ hairāñ
dariyā bhī to pyāse kā shaidā nazar aatā hai
anvār-e-nabī dekho allāh kī āñkhoñ se
bandoñ kī nigāhoñ meñ banda nazar aatā hai
ai dair-o-haram vaalo dekho nazar-e-haq se
dil-e-kāfir momin kā ka.aba nazar aatā hai
gar ġham se laboñ par dam aayā hai mubārak ho
vo dekh koī hamdam aatā nazar aatā hai
kisī tarah nazar aa.e vo parda-nashīñ 'amjad'
har parda ke ba.ad aur ik parda nazar aatā hai
'alam mein har ek us ka shaida nazar aata hai
us tur ka har zarra musa nazar aata hai
bande ki ma'iyyat mein maula nazar aata hai
qatre ki haqiqat mein dariya nazar aata hai
dariya ke tajassus mein pyasa hi nahin hairan
dariya bhi to pyase kā shaida nazar aata hai
anwar-e-nabi dekho allah ki aankhon se
bandon ki nigahon mein banda nazar aata hai
ai dair-o-haram walo dekho nazar-e-haq se
dil-e-kafir momin ka kaba nazar aata hai
gar gham se labon par dam aaya hai mubarak ho
wo dekh koi hamdam aata nazar aata hai
kisi tarah nazar aae wo parda-nashin 'amjad'
har parda ke baad aur ek parda nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.