kyā batā.ūñ ai mere yaar mujhe
'ishq hai tujh se be-shumār mujhe
ātish-e-'ishq le ke baiThā huuñ
kyā jalā.egī koī naar mujhe
ḳhud ko shāhoñ kā shaah samjhūñgā
gar mile ḳhaak pā-e-yār mujhe
zulm ab intihā ko pahuñchā hai
kab 'atā hogī zulfiqār mujhe
'amn' jā.ūñ to phir kahāñ jā.ūñ
raas aayā hai kū-e-yār mujhe
sū-e-shahr-e-kHamoshāñ ik din 'aman'
le ke jā.eñge mere yaar mujhe
kya bataun ai mere yar mujhe
'ishq hai tujh se be-shumar mujhe
aatish-e-'ishq le ke baiTha hun
kya jalaegi koi nar mujhe
KHud ko shahon ka shah samjhunga
gar mile KHak pa-e-yar mujhe
zulm ab intiha ko pahuncha hai
kab 'ata hogi zulfiqar mujhe
'amn' jaun to phir kahan jaun
ras aaya hai ku-e-yar mujhe
su-e-shahr-e-kHamoshan ek din 'aman'
le ke jaenge mere yar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.