Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

apne didar ki hasrat mein tu mujhko sarapa dil kar de

Bedam Shah Warsi

apne didar ki hasrat mein tu mujhko sarapa dil kar de

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    apne dīdār hasrat meñ mujh ko sarāpā dil kar de

    har qatra-e-dil ko qais banā har zarre ko mahmil kar de

    duniyā-e-husn-o-ishq mirī karnā hai to yuuñ kāmil kar de

    apne jalve merī hairat nazāre meñ shāmil kar de

    yaañ tūr-o-kalīm nahīñ na sahī maiñ hāzir huuñ le phūñk mujhe

    parde ko uThā de mukhḌe se barbād sukūn-e-dil kar de

    gar qulzum-e-ishq hai be-sāhil ai ḳhizr to be-sāhil sahī

    jis mauj meñ Duube kashti-e-dil us mauj ko sāhil kar de

    ai dard atā karne vaale dard mujhe itnā de de

    jo donoñ jahāñ vus’at ko ik gosha-e-dāman-e-dil kar de

    har se ġhamoñ ne gherā hai ab hai to sahārā terā hai

    mushkil āsāñ karne vaale āsān mirī mushkil kar de

    'bedam' us yaad ke maiñ sadqe us dard-e-mohabbat ke qurbāñ

    jo jiinā bhī dushvār kare aur marnā bhī mushkil kar de

    apne didar ki hasrat mein tu mujh ko sarapa dil kar de

    har qatra-e-dil ko qais bana har zarre ko mahmil kar de

    duniya-e-husn-o-ishq meri karna hai to yun kaamil kar de

    apne jalwe meri hairat nazare mein shamil kar de

    yan tur-o-kalim nahin na sahi main hazir hun le phunk mujhe

    parde ko uTha de mukhDe se barbaad sukun-e-dil kar de

    gar qulzum-e-ishq hai be-sahil ai KHizr to be-sahil hi sahi

    jis mauj mein Dube kashti-e-dil us mauj ko tu sahil kar de

    ai dard ata karne wale tu dard mujhe itna de de

    jo donon jahan ki wus’at ko ek gosha-e-daman-e-dil kar de

    har su se ghamon ne ghera hai ab hai to sahaara tera hai

    mushkil aasan karne wale aasan meri mushkil kar de

    'bedam' us yaad ke main sadqe us dard-e-mohabbat ke qurban

    jo jina bhi dushwar kare aur marna bhi mushkil kar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now