shifa ki apni ab mangen dua kya
shifā kī apnī ab māñgeñ du'ā kyā
ki āñkhoñ meñ hai dam ham meñ rahā kyā
na pisne par chhupegī us kī surḳhī
hai pattoñ meñ chhupā rañg-e-hinā kyā
mufassal hāl-e-dil vo pūchhte haiñ
kahūñ ai be-zabānī aaj kiyā kyā
bhalā.ī kuchh 'ajab shai hai jahāñ meñ
bhalā chāho to is meñ hai burā kyā
na kyuuñ dīvāñ meñ mere 'aib ho 'arsh'
sarāpā huuñ ḳhatā merī ḳhatā kyā
shifa ki apni ab mangen du'a kya
ki aankhon mein hai dam hum mein raha kya
na pisne par chhupegi us ki surKHi
hai patton mein chhupa rang-e-hina kya
mufassal haal-e-dil wo puchhte hain
kahun ai be-zabani aaj kiya kya
bhalai kuchh 'ajab shai hai jahan mein
bhala chaho to is mein hai bura kya
na kyun diwan mein mere 'aib ho 'arsh'
sarapa hun KHata meri KHata kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.