aaram tere kuche mein zinhaar na paya
ārām tire kūche meñ zinhār na paayā
DhūñDhā to kahīñ sāya-e-dīvār na paayā
kāvish rahī har chand ki gulzār-e-jahāñ meñ
lekin gul-e-tar kyā ki koī ḳhaar na paayā
aayā thā davā karne vo bīmār samajh kar
maiñ ho gayā achchhā mujhe bīmār na paayā
is kūche meñ marne pe har ik mor-o-magas ne
DhūñDhā pe kahīñ merā tan-e-zār na paayā
haañ ik dil-e-marhūm thā ab vo bhī nahīñ 'arsh'
is daur meñ ham ne koī ġham-ḳhvār na paayā
aaram tere kuche mein zinhaar na paya
DhunDha to kahin saya-e-diwar na paya
kawish rahi har chand ki gulzar-e-jahan mein
lekin gul-e-tar kya ki koi KHar na paya
aaya tha dawa karne wo bimar samajh kar
main ho gaya achchha mujhe bimar na paya
is kuche mein marne pe har ek mor-o-magas ne
DhunDha pe kahin mera tan-e-zar na paya
han ek dil-e-marhum tha ab wo bhi nahin 'arsh'
is daur mein hum ne koi gham-KHwar na paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.