nikal jae ye meri jaan abhi fart-e-masarrat se
nikal jaa.e ye merī jaañ abhī fart-e-masarrat se
agar ma.alūm ho jaaye ki tum doge kafan mujh ko
kiyā hai ’azm-e-ulfat to pahuñch jā.eñge manzil tak
dikhā.ī de rahā hai rāsta maanā ghuTan mujh ko
'asad' be-shak karam hai ye kisī kī ḳhaas nazroñ kā
jabhī to tak rahe haiñ ġhaur se ahl-e-suḳhan mujh ko
nikal jae ye meri jaan abhi fart-e-masarrat se
agar malum ho jaye ki tum doge kafan mujh ko
kiya hai ’azm-e-ulfat to pahunch jaenge manzil tak
dikhai de raha hai rasta mana ghuTan mujh ko
'asad' be-shak karam hai ye kisi ki KHas nazron ka
jabhi to tak rahe hain ghaur se ahl-e-suKHan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.