jafa par apni pachhtate to aate
jafā par apnī pachhtāte to aate
vafā merī samajh paate to aate
gale lag kar bulāyā to na aa.e
gale un ke jo paḌ jaate to aate
unheñ aate haiñ ādāb-e-mohabbat?
nahīñ aate agar aate to aate
na ā.eñge bulāve par tumhār
hamāre ghar jo tum aate to aate
kamī ham ko ishāroñ kī nahīñ thī
ishāra aap kā paate to aate
saḳhāvat sab kī hai taslīm 'mājid'
yahāñ se kam agar paate to aate
jafa par apni pachhtate to aate
wafa meri samajh pate to aate
gale lag kar bulaya to na aae
gale un ke jo paD jate to aate
unhen aate hain aadab-e-mohabbat?
nahin aate agar aate to aate
na aaenge bulawe par tumhaar
hamare ghar jo tum aate to aate
kami hum ko ishaaron ki nahin thi
ishaara aap ka pate to aate
saKHawat sab ki hai taslim 'majid'
yahan se kam agar pate to aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.