Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sham aiwan-e-jahan tere siwa koi nahin

Aughat Shah Warsi

sham aiwan-e-jahan tere siwa koi nahin

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    sham' aivān-e-jahāñ tere sivā koī nahīñ

    vāris-e-kaun-o-makāñ terā sivā koī nahīñ

    zīnat-e-'arsh-e-'ulā-o-raunaq-e-bustān-e-dahr

    zeb sadr-e-lā-makāñ terā sivā koī nahīñ

    chāra-gar fariyād-ras mushkil-kushā ġhurbā-navāz

    dast-gīr be-kasāñ tere sivā koī nahīñ

    bā'is-e-ārām-e-dil taqviyat-e-har-kHās-o-'ām

    rūh-e-'ālam jān-e-jāñ tere sivā koī nahīñ

    'ālam-e-sirr-e-kHafī bīnand-e-ā'māl-e-ḳhalq

    vāqif-e-rāz-e-nihāñ tere sivā koī nahīñ

    mālik-e-har-juzv-o-kul farmā-ravā zī-martabat

    māh-e-sipihr-e-'izz-o-shāñ tere sivā koī nahīñ

    'aughaT' hai be-kas is qadar hasrat hai jis chāra-gar

    ġham-ḳhvār zer-e-āsmāñ tere sivā koī nahīñ

    sham' aiwan-e-jahan tere siwa koi nahin

    waris-e-kaun-o-makan tera siwa koi nahin

    zinat-e-'arsh-e-'ula-o-raunaq-e-bustan-e-dahr

    zeb sadr-e-la-makan tera siwa koi nahin

    chaara-gar fariyaad-ras mushkil-kusha ghurba-nawaz

    dast-gir be-kasan tere siwa koi nahin

    ba'is-e-aram-e-dil taqwiyat-e-har-kHas-o-'am

    ruh-e-'alam jaan-e-jaan tere siwa koi nahin

    'alam-e-sirr-e-kHafi binand-e-a'mal-e-KHalq

    waqif-e-raaz-e-nihan tere siwa koi nahin

    malik-e-har-juzw-o-kul farma-rawa zi-martabat

    mah-e-sipihr-e-'izz-o-shan tere siwa koi nahin

    'aughaT' hai be-kas is qadar hasrat hai jis ki chaara-gar

    gham-KHwar zer-e-asman tere siwa koi nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now