phir hui hasrat-e-didar KHuda KHair kare
phir huī hasrat-e-dīdār ḳhudā ḳhair kare
phir huā 'ishq kā āzār ḳhudā ḳhair kare
al-madad 'ishq abhī hijr kī pahlī shab hai
aur jiinā huā dushvār ḳhudā ḳhair kare
dekh kar bole mujhe bahr-e-'iyādat jo vo aa.e
hai burī sūrat-e-bīmār ḳhudā ḳhair kare
kis ko saudā ho balā aatī hai kis par dekheñ
chale ban-Than ke vo bāzār ḳhudā ḳhair kare
fasl-e-gul zor meñ hai dekhiye pesh aatā hai kyā
ḳhvāb meñ dekhe haiñ kohsār ḳhudā ḳhair kare
na milī nabz to hasrat se ye kahtā hai tabīb
ab shifā ho ga.ī dushvār ḳhudā ḳhair kare
aaj kuchh hazrat-e-'aughaT' kā hai badlā huā rañg
’āshiqāna paḌhe ash'ār ḳhudā ḳhair kare
phir hui hasrat-e-didar KHuda KHair kare
phir hua 'ishq ka aazar KHuda KHair kare
al-madad 'ishq abhi hijr ki pahli shab hai
aur jina hua dushwar KHuda KHair kare
dekh kar bole mujhe bahr-e-'iyaadat jo wo aae
hai buri surat-e-bimar KHuda KHair kare
kis ko sauda ho bala aati hai kis par dekhen
chale ban-Than ke wo bazar KHuda KHair kare
fasl-e-gul zor mein hai dekhiye pesh aata hai kya
KHwab mein dekhe hain kohsar KHuda KHair kare
na mili nabz to hasrat se ye kahta hai tabib
ab shifa ho gai dushwar KHuda KHair kare
aaj kuchh hazrat-e-'aughaT' ka hai badla hua rang
’ashiqana paDhe ash'ar KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.