kuchh baat mere munh se nikalne nahi dete
kuchh baat mire muñh se nikalne nahii. dete
allāh-re ġhamze ki sambhle nahii. dete
kāfir nahii. karte haiñ musalmāñ nahii. rakhte
dam-bhar mujhe ik raah chalne nahii. dete
labrez hai dil josh-e-anā-allāh se lekin
is kuuze se dariyā ko ubalne nahii. dete
kar jaate haiñ har dard meñ aakar mirī taskīñ
laḳht dil sad paara ugalne nahii. dete
āshiq huuñ mujhe ishq se tarkīb diyā hai
miTTī meñ milā kar mujhe galne nahii. dete
dāġhoñ se banāyā hai mujhe sarv charāġhāñ
kyā ġham hai agar phūlne phalne nahii. dete
pāmāl kyā mujh ko aziiz un kī ravish ne
āñḳheñ kabhī un talvoñ se milne nahīñ dete
kuchh baat mere munh se nikalne nahi dete
allah-re ghamze ki sambhle nahi dete
kafir nahi karte hain musalman nahi rakhte
dam-bhar mujhe ek rah chalne nahi dete
labrez hai dil josh-e-ana-allah se lekin
is kuze se dariya ko ubalne nahi dete
kar jate hain har dard mein aakar meri taskin
laKHt dil sad para ugalne nahi dete
aashiq hun mujhe ishq se tarkib diya hai
miTTi mein mila kar mujhe galne nahi dete
daghon se banaya hai mujhe sarw charaghan
kya gham hai agar phulne phalne nahi dete
pamal kya mujh ko aziz un ki rawish ne
aanKHen kabhi un talwon se milne nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.