bagh mein saqi ke shahid nargis-e-sharsar hai
baaġh meñ saaqī ke shāhid nargis-e-sharsār hai
kis qadar āshufta sar par gul ke ab dastār hai
sub.h-e-mahshar hai tabassum us lab-e-mai guuñ ke ta.iiñ
chashm-e-ḳhvāb ālūda-e-sāqī fitna-e-bedār hai
nā-tavāñ dekhā hai shāyad chashm-e-sāqī ke vahāñ
is qadar gulshan meñ nargis is sabab bīmār hai
vajd meñ kab aave gar vaañ naġhma-e-dā.ūd ho
zāhid be-dard goyā sūrat-e-bīmār hai
kyā tabassum us lab-e-jāñ-baḳhsh kā e.ajāz hai
shor sun us kā masīhā charḳh par bīmār hai
bagh mein saqi ke shahid nargis-e-sharsar hai
kis qadar aashufta sar par gul ke ab dastar hai
subh-e-mahshar hai tabassum us lab-e-mai gun ke tain
chashm-e-KHwab aaluda-e-saqi fitna-e-bedar hai
na-tawan dekha hai shayad chashm-e-saqi ke wahan
is qadar gulshan mein nargis is sabab bimar hai
wajd mein kab aawe gar wan naghma-e-daud ho
zahid be-dard goya surat-e-bimar hai
kya tabassum us lab-e-jaan-baKHsh ka eajaz hai
shor sun us ka masiha charKH par bimar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.