Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

gum hue jate hain dhaDkan ke nishan ham-nafaso

Badr Aalam Khalish

gum hue jate hain dhaDkan ke nishan ham-nafaso

Badr Aalam Khalish

MORE BYBadr Aalam Khalish

    gum hue jaate haiñ dhaḌkan ke nishāñ ham-nafaso

    hai dar-e-dil pe koī sañg-e-girāñ ham-nafaso

    risne lagtī haiñ jab āñkhoñ se tezābī yādeñ

    baat karte hue jaltī hai zabāñ ham-nafaso

    dil se lab tak koī kohrām sannāTā hai

    ḳhud-kalāmī mujhe le aa.ī kahāñ ham-nafaso

    ik subuk mauj hai ik lauh-e-daraḳhshāñ pe ravāñ

    hai tamāshā.ī yañh saarā jahāñ ham-nafaso

    vo masrūf haiñ masrūr nahīñ phir bhī ye log

    hai ye kyā silsila-e-kār-e-ziyāñ ham-nafaso

    shaam tamhīd-e-ġhazal raat hai takmīl-e-ġhazal

    din nikalte nikal jaatī hai jaañ ham-nafaso

    rashk-e-mahshar koī qāmat to nigāhoñ meñ jache

    dil meñ baaqī hai abhī tāb-o-tavāñ ham-nafaso

    zinda ho rasm-e-junūñ kis navā-rezī se

    ab rahā kaun yañh sho.ala-ba-jāñ ham-nafaso

    aaj shaam ġhazal kyuuñ na 'ḳhalish' se suneñ

    DhūñDh kar laa.e koī hai vo kahāñ ham-nafaso

    gum hue jate hain dhaDkan ke nishan ham-nafaso

    hai dar-e-dil pe koi sang-e-giran ham-nafaso

    risne lagti hain jab aankhon se tezabi yaaden

    baat karte hue jalti hai zaban ham-nafaso

    dil se lab tak koi kohram sa sannaTa hai

    KHud-kalami mujhe le aai kahan ham-nafaso

    ek subuk mauj hai ek lauh-e-daraKHshan pe rawan

    hai tamashai yanh sara jahan ham-nafaso

    wo masruf hain masrur nahin phir bhi ye log

    hai ye kya silsila-e-kar-e-ziyan ham-nafaso

    sham tamhid-e-ghazal raat hai takmil-e-ghazal

    din nikalte hi nikal jati hai jaan ham-nafaso

    rashk-e-mahshar koi qamat to nigahon mein jache

    dil mein baqi hai abhi tab-o-tawan ham-nafaso

    zinda ho rasm-e-junun kis ki nawa-rezi se

    ab raha kaun yanh shoala-ba-jaan ham-nafaso

    aaj ki sham ghazal kyun na 'KHalish' se hi sunen

    DhunDh kar lae koi hai wo kahan ham-nafaso

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now