jo nazar teri tajalli ke muqabil Thahre
jo nazar terī tajallī ke muqābil Thahre
vahī me.ayār tamīz-e-haq-o-bātil Thahre
un kā kūcha na sahī ka.aba sahī dair sahī
kisī manzil pe tū āvāra-e-manzil Thahre
tum to āzād ho tum kyuuñ na baḌho chand qadam
ham to har haal meñ pāband-e-salāsil Thahre
josh-e-vahshat meñ jo majnūñ ne uḌāyā thā ġhubār
vahī majnūñ ke liye parda-e-mahmil Thahre
de kuchh is tarah duhā.ī ki jaras chup ho jaa.e
chādar gar phaTe fāqa-e-mahmil Thahre
us meñ taḳhsīs-e-kunisht-o-haram-o-dair nahīñ
dil kī manzil to vahī hai ki jahāñ dil Thahre
na tamāsha na tahayyur na tajallī ai 'badr'
haif us ā.īna kī qismat jo mirā dil Thahre
jo nazar teri tajalli ke muqabil Thahre
wahi meayar tamiz-e-haq-o-baatil Thahre
un ka kucha na sahi kaba sahi dair sahi
kisi manzil pe tu aawara-e-manzil Thahre
tum to aazad ho tum kyun na baDho chand qadam
hum to har haal mein paband-e-salasil Thahre
josh-e-wahshat mein jo majnun ne uDaya tha ghubar
wahi majnun ke liye parda-e-mahmil Thahre
de kuchh is tarah duhai ki jaras chup ho jae
chadar gar phaTe faqa-e-mahmil Thahre
us mein taKHsis-e-kunisht-o-haram-o-dair nahin
dil ki manzil to wahi hai ki jahan dil Thahre
na tamasha na tahayyur na tajalli ai 'badr'
haif us aaina ki qismat jo mera dil Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.