kohal-ul-basar aankhon mein lagaya nahin jata
kohal-ul-basar āñkhoñ meñ lagāyā nahīñ jaatā
kyuuñ fitna-e-ḳhvābīda jagāyā nahii. jaatā
likhā hai ruḳh-e-sāf ko ā.īna jo un ke
is sharm se muñh un ko dikhāyā nahīñ jaatā
laḌte haiñ fasāne par tire ġhair siyah-rū
kyā aap se qissa ye chukāyā nahii. jaatā
ġhairoñ ko jo tum paas biThāte ho ḳhushī se
ye rañj to banda se uThāyā nahīñ jaatā
kohal-ul-basar aankhon mein lagaya nahin jata
kyun fitna-e-KHwabida jagaya nahi jata
likha hai ruKH-e-saf ko aaina jo un ke
is sharm se munh un ko dikhaya nahin jata
laDte hain fasane par tere ghair siyah-ru
kya aap se qissa ye chukaya nahi jata
ghairon ko jo tum pas biThate ho KHushi se
ye ranj to banda se uThaya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.