phansi paDe gesu ki mohabbat ki badaulat
phāñsī paḌe gesū kī mohabbat kī badaulat
suulī pe chaḌhe ulfat-e-qāmat kī badaulat
kahte haiñ ki baaqī na rahī izzat-o-hurmat
ham luT ga.e us husn kī daulat kī badaulat
un se jo banī baat to ik ḳhalq se bigḌī
logoñ se adāvat huī ulfat kī badaulat
ġhairoñ se laḌe haiñ ham tire ārām kī ḳhātir
ye rañj uThāyā tirī rāhat kī badaulat
phansi paDe gesu ki mohabbat ki badaulat
suli pe chaDhe ulfat-e-qamat ki badaulat
kahte hain ki baqi na rahi izzat-o-hurmat
hum luT gae us husn ki daulat ki badaulat
un se jo bani baat to ek KHalq se bigDi
logon se adawat hui ulfat ki badaulat
ghairon se laDe hain hum tere aaram ki KHatir
ye ranj uThaya teri rahat ki badaulat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.