bahaar-e-bagh-e-gulistan-e-sarmadi hum hain
bahār-e-bāġh-e-gulistān-e-sarmadī ham haiñ
ḳhudā ke saath haiñ daa.im vo aadmī ham haiñ
vo be-ḳhudī ki haqīqat meñ hai ḳhudī ham haiñ
niyāz-e-bandagī-o-nāz-e-kHvājagī ham haiñ
jis anjuman meñ diloñ ke charāġh jalte haiñ
us anjuman meñ charāġhoñ kī raushnī ham haiñ
misāl-e-barq-e-tamannā ba-rañg-e-ātish-e-shauq
ye aag jo hai diloñ meñ lagī huī ham haiñ
hai ek aañkh meñ sūraj to ek aañkh meñ chāñd
taġhayyūrāt-e-shab-o-roz se barī ham haiñ
ḳhajil hai nuur mohabbat se zulmat-e-nafrat
jo sham.a tund havā na bujha sakī ham haiñ
ye vāqi.a hai ki sab kuchh hai tū hī to ai dost
ye aur baat ke jo kuchh hai tū vahī ham haiñ
bahut baḌe haiñ haqīqat meñ ham zahīn magar
rah-e-majāz meñ sab se baḌī kamī ham haiñ
bahaar-e-bagh-e-gulistan-e-sarmadi hum hain
KHuda ke sath hain daim wo aadmi hum hain
wo be-KHudi ki haqiqat mein hai KHudi hum hain
niyaz-e-bandagi-o-naz-e-kHwajagi hum hain
jis anjuman mein dilon ke charagh jalte hain
us anjuman mein charaghon ki raushni hum hain
misal-e-barq-e-tamanna ba-rang-e-atish-e-shauq
ye aag jo hai dilon mein lagi hui hum hain
hai ek aankh mein suraj to ek aankh mein chand
taghayyuraat-e-shab-o-roz se bari hum hain
KHajil hai nur mohabbat se zulmat-e-nafrat
jo shama tund hawa na bujha saki hum hain
ye waqia hai ki sab kuchh hai tu hi to ai dost
ye aur baat ke jo kuchh hai tu wahi hum hain
bahut baDe hain haqiqat mein hum zahin magar
rah-e-majaz mein sab se baDi kami hum hain
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.