meri aankh band thi jab talak wo nazar mein nur-e-jamal tha

meri aankh band thi jab talak wo nazar mein nur-e-jamal tha
Bahadur Shah Zafar
MORE BYBahadur Shah Zafar
merī aañkh band thī jab talak vo nazar meñ nūr-e-jamāl thā
khulī aañkh to na ḳhabar rahī ki vo ḳhvāb thā ki ḳhayāl thā
mere jī meñ thā ki kahūñgā maiñ ye jo dil pe rañj-o-malāl hai
vo jab aa gayā mere sāmne na to rañj thā na malāl thā
pas-e-parda sunke terī sadā mirā shauq-e-dīd jo baḌh gayā
yahī iztirāb-e-kamāl thā yahī vajd thā yahī haal thā
'zafar' us se chhuT ke jo just kī to ye jaana ham ne ki vāqa.ī
faqat ek qaid-e-ḳhudī kī thī na qafas thā koī na jaal thā
meri aankh band thi jab talak wo nazar mein nur-e-jamal tha
khuli aankh to na KHabar rahi ki wo KHwab tha ki KHayal tha
mere ji mein tha ki kahunga main ye jo dil pe ranj-o-malal hai
wo jab aa gaya mere samne na to ranj tha na malal tha
pas-e-parda sunke teri sada mera shauq-e-did jo baDh gaya
yahi iztirab-e-kamal tha yahi wajd tha yahi haal tha
'zafar' us se chhuT ke jo just ki to ye jaana hum ne ki waqai
faqat ek qaid-e-KHudi ki thi na qafas tha koi na jal tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.