Font by Mehr Nastaliq Web

har nafas girya-o-matam ke siwa kuchh bhi nahin

Behzad Lakhnavi

har nafas girya-o-matam ke siwa kuchh bhi nahin

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    har nafas girya-o-mātam ke sivā kuchh bhī nahīñ

    zindagī kyā hai tere ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ

    ashk-e-hasrat lab-e-ḳhāmosh fuġhān-e-mahrūm

    paas mere mere 'ālam ke sivā kuchh bhī nahīñ

    kahāñ aa.ī hai ai sub.h-e-bahār-e-ummīd

    merī duniyā meñ shab-e-ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ

    ye haqīqat hai ki hastī haqīqat ai dost

    ek nazzāra-e-’ālam ke sivā kuchh bhī nahīñ

    allāh allāh ye hai ki kashmakash rāz-o-niyāz

    chaar sho.ala-o-shabnam ke sivā kuchh bhī nahīñ

    ḳhaak samjhegā vo rañgīnī-e-’ālam nikhār

    paas jis ke Dil-e-pur-ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ

    maqsad-e-chashm-o-nazar shām-e-mohabbat qasam

    is tirī kākul-e-pur-ḳham ke sivā kuchh bhī nahīñ

    hosh kahte haiñ kise ahl-e-nazar duniyā meñ

    zindagī laġhzish-e-paiham ke sivā kuchh bhī nahīñ

    merī duniyā meñ na samjheñge zamāne vaale

    haaye 'bahzād'-e-hazīñ ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ

    har nafas girya-o-matam ke siwa kuchh bhi nahin

    zindagi kya hai tere gham ke siwa kuchh bhi nahin

    ashk-e-hasrat lab-e-KHamosh fughan-e-mahrum

    pas mere mere 'alam ke siwa kuchh bhi nahin

    tu kahan aai hai ai subh-e-bahaar-e-ummid

    meri duniya mein shab-e-gham ke siwa kuchh bhi nahin

    ye haqiqat hai ki hasti ki haqiqat ai dost

    ek nazzara-e-’alam ke siwa kuchh bhi nahin

    allah allah ye hai ki kashmakash raaz-o-niyaz

    chaar su shoala-o-shabnam ke siwa kuchh bhi nahin

    KHak samjhega wo rangini-e-’alam ka nikhaar

    pas jis ke Dil-e-pur-gham ke siwa kuchh bhi nahin

    maqsad-e-chashm-o-nazar sham-e-mohabbat ki qasam

    is teri kakul-e-pur-KHam ke siwa kuchh bhi nahin

    hosh kahte hain kise ahl-e-nazar duniya mein

    zindagi laghzish-e-paiham ke siwa kuchh bhi nahin

    meri duniya mein na samjhenge zamane wale

    haye 'bahzad'-e-hazin gham ke siwa kuchh bhi nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now