Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tumhaar husn ki tasKHir aam hoti hai

Behzad Lakhnavi

tumhaar husn ki tasKHir aam hoti hai

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    tumhār husn tasḳhīr aam hotī hai

    ki ik nigāh meñ duniyā tamām hotī hai

    jahāñ pe jalva-e-jānāñ hai anjuman-ārā

    vahāñ nigāh manzil tamām hotī hai

    vahī ḳhalish vahī sozish vahī tapish vahī dard

    hameñ sahar bhī ba-andāz-e-shām hotī hai

    nigāh-e-husn mubārak tujhe dar-andāzī

    kabhī kabhī mirī mahfil bhī ’aam hotī hai

    zahe nasīb maiñ qurbān apnī qismat ke

    tire liye mirī duniyā tamām hotī hai

    namāz-e-ishq hai inhisār ashkoñ tak

    ye be-niyāz-e-sujūd-o-qayām hotī hai

    tirī nigāh ke qurbāñ tirī nigāh Tiis

    ye nā-tamām rah kar tamām hotī hai

    vahāñ pe chal mujhe le kar mere samand-e-ḳhayāl

    jahāñ nigāh mastī harām hotī hai

    kisī ke zikr se 'bahzād' mubtalā ab tak

    jigar meñ ik ḳhalish-e-nā-tamām hotī hai

    tumhaar husn ki tasKHir aam hoti hai

    ki ek nigah mein duniya tamam hoti hai

    jahan pe jalwa-e-jaanan hai anjuman-ara

    wahan nigah ki manzil tamam hoti hai

    wahi KHalish wahi sozish wahi tapish wahi dard

    hamein sahar bhi ba-andaz-e-sham hoti hai

    nigah-e-husn mubarak tujhe dar-andazi

    kabhi kabhi meri mahfil bhi ’am hoti hai

    zahe nasib main qurban apni qismat ke

    tere liye meri duniya tamam hoti hai

    namaz-e-ishq ka hai inhisar ashkon tak

    ye be-niyaz-e-sujud-o-qayam hoti hai

    teri nigah ke qurban teri nigah ki Tis

    ye na-tamam hi rah kar tamam hoti hai

    wahan pe chal mujhe le kar mere samand-e-KHayal

    jahan nigah ki masti haram hoti hai

    kisi ke zikr se 'bahzad' mubtala ab tak

    jigar mein ek KHalish-e-na-tamam hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now