Font by Mehr Nastaliq Web

meri anjuman mein aa ja yahi teri anjuman hai

Behzad Lakhnavi

meri anjuman mein aa ja yahi teri anjuman hai

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    mirī anjuman meñ aa yahī terī anjuman hai

    na to har ravish ravish hai na to har chaman chaman hai

    ye jo haiñ tirī adā.eñ yahī jo terī phaban hai

    yahī sub.h-e-anjuman hai yahī shām-e-anjuman hai

    merā dard baḌh gayā hai ye jo ashk aa ga.e haiñ

    ye jo aah ghaT ga.ī hai mere ġham bāñkpan hai

    ek 'ajīb se ḳhalish hai mere donoñ pahluoñ meñ

    kabhī is taraf jalan hai kabhī us taraf jalan hai

    use kufr-o-dīñ matlab use kyā ġharaz kisī se

    tirā be-ḳhud-e-mohabbat terī yaad meñ magan hai

    yahī daaġh dil hamārā yahī ātish gavārā

    yahī barg-e-be-shajar hai yahī phūl-e-be-chaman hai

    mere she'r sunñe vaale zarā ye ḳhayāl rakkheñ

    ki bayāñ pas-e-bayāñ hai ki suḳhan pas-e-suḳhan hai

    meri anjuman mein aa ja yahi teri anjuman hai

    na to har rawish rawish hai na to har chaman chaman hai

    ye jo hain teri adaen yahi jo teri phaban hai

    yahi subh-e-anjuman hai yahi sham-e-anjuman hai

    mera dard baDh gaya hai ye jo ashk aa gae hain

    ye jo aah ghaT gai hai mere gham ka bankpan hai

    ek 'ajib se KHalish hai mere donon pahluon mein

    kabhi is taraf jalan hai kabhi us taraf jalan hai

    use kufr-o-din matlab use kya gharaz kisi se

    tera be-KHud-e-mohabbat teri yaad mein magan hai

    yahi dagh dil hamara yahi aatish gawara

    yahi barg-e-be-shajar hai yahi phul-e-be-chaman hai

    mere she'r sunne wale zara ye KHayal rakkhen

    ki bayan pas-e-bayan hai ki suKHan pas-e-suKHan hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now