Font by Mehr Nastaliq Web

din Dhala Dhal ke waqt-e-sham aaya

Behzad Lakhnavi

din Dhala Dhal ke waqt-e-sham aaya

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    din Dhalā Dhal ke vaqt-e-shām aayā

    be-qarārī phir salām aayā

    jab kisī ne koī savāl kiyā

    lab pe ghabrā ke un naam aayā

    sab ko saaqī ne kar diyā sairāb

    haaye mujh tak na koī jaam aayā

    dil hastī tabāh ho ke rahī

    'ishq naam mere kaam aayā

    miT ga.ī be-qarārī-e-shab-e-ġham

    sub.h ban kar kisī naam aayā

    muztar dard-e-mudda'ā 'bahzād'

    dar-e-murshid se shaad kaam aayā

    din Dhala Dhal ke waqt-e-sham aaya

    be-qarari ka phir salam aaya

    jab kisi ne koi sawal kiya

    lab pe ghabra ke un ka nam aaya

    sab ko saqi ne kar diya sairab

    haye mujh tak na koi jam aaya

    dil ki hasti tabah ho ke rahi

    'ishq ka nam mere kaam aaya

    miT gai be-qarari-e-shab-e-gham

    subh ban kar kisi ka nam aaya

    muztar dard-e-mudda'a 'bahzad'

    dar-e-murshid se shad kaam aaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now