Font by Mehr Nastaliq Web

ye hai jaan-e-bahaar ka aalam

Behzad Lakhnavi

ye hai jaan-e-bahaar ka aalam

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ye hai jān-e-bahār 'ālam

    jaise gul ke nikhār 'ālam

    jaise chhilke hue hoñ paimāne

    yaad hai chashm-e-yār 'ālam

    dekhne vaale ḳhaak dekheñge

    us dil-e-be-qarār 'ālam

    band hotī nahīñ hai chashm-e-shauq

    ab ye hai intizār 'ālam

    lab the ḳhāmosh ab haiñ nauha-kunāñ

    vo ḳhizāñ ye bahār 'ālam

    phuul ne khilkhilā ke dikhlāyā

    lab-e-rañgīn-e-yār 'ālam

    ham to 'bahzād' kho ga.e yaksar

    kaisā pyārā hai pyaar 'ālam

    ye hai jaan-e-bahaar ka 'alam

    jaise gul ke nikhaar ka 'alam

    jaise chhilke hue hon paimane

    yaad hai chashm-e-yar ka 'alam

    dekhne wale KHak dekhenge

    us dil-e-be-qarar ka 'alam

    band hoti nahin hai chashm-e-shauq

    ab ye hai intizar ka 'alam

    lab the KHamosh ab hain nauha-kunan

    wo KHizan ye bahaar ka 'alam

    phul ne khilkhila ke dikhlaya

    lab-e-rangin-e-yar ka 'alam

    hum to 'bahzad' kho gae yaksar

    kaisa pyara hai pyar ka 'alam

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now