Font by Mehr Nastaliq Web

aalam-e-qalb-e-na-tawan na suno

Behzad Lakhnavi

aalam-e-qalb-e-na-tawan na suno

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    'ālam-e-qalb-e-nā-tavāñ na suno

    na suno ġham dāstāñ na suno

    tum karam ke evaz karoge sitam

    hāl-e-dil ban ke mehrbāñ na suno

    rāh-e-dushvār-e-'ishq are tauba

    luT gayā dil kārvāñ na suno

    dil-e-nāzuk ko Thes pahuñchegī

    mere naale mirī fuġhāñ na suno

    kar diyā sair jitne mai-kash the

    'ālam pīr-e-mai-kashāñ na suno

    hāl-e-shām-e-alam to sun liyā

    sub.h aa.ī kahāñ kahāñ na suno

    bas samajh lo vahīñ hai vo maujūd

    us āvāz tum jahāñ na suno

    bijliyoñ chamak pe ġhaur karo

    zikr-e-barbād-e-āshiyāñ na suno

    der se muntazir to ho lekin

    hāl-e-‘bahzād’ nīm-jāñ na suno

    'alam-e-qalb-e-na-tawan na suno

    na suno gham ki dastan na suno

    tum karam ke ewaz karoge sitam

    haal-e-dil ban ke mehrban na suno

    rah-e-dushwar-e-'ishq are tauba

    luT gaya dil ka karwan na suno

    dil-e-nazuk ko Thes pahunchegi

    mere nale meri fughan na suno

    kar diya sair jitne mai-kash the

    'alam pir-e-mai-kashan na suno

    haal-e-sham-e-alam to sun hi liya

    subh aai kahan kahan na suno

    bas samajh lo wahin hai wo maujud

    us ki aawaz tum jahan na suno

    bijliyon ki chamak pe ghaur karo

    zikr-e-barbaad-e-ashiyan na suno

    der se muntazir to ho lekin

    haal-e-‘bahzad’ nim-jaan na suno

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now