barse hai chashm-e-saqi sun masti sharab ki
barse hai chashm-e-sāqī suuñ mastī sharāb kī
dāġh-e-jigar meñ paatā huuñ lazzat kabāb kī
raihān-e-dil meñ kyuuñ na ġhubār hove is sabab
qīmat shikasta kar diye ḳhat meñ kitāb kī
us chehre kī safā ko jo dekhā hai ḳhvāb meñ
parvā ab kahāñ rahī maḳhmal ko ḳhvāb kī
āshiq tamām shorish-e-ġhash hue dekh kar
shura zamīñ se hove numā.ish sarāb kī
laḳht-e-jigar hai soḳhta āñsūñ yañh kahāñ
bād-e-sabā suuñ phūTe hai chashmeñ habāb kī
barse hai chashm-e-saqi sun masti sharab ki
dagh-e-jigar mein pata hun lazzat kabab ki
raihan-e-dil mein kyun na ghubar howe is sabab
qimat shikasta kar diye KHat mein kitab ki
us chehre ki safa ko jo dekha hai KHwab mein
parwa ab kahan rahi maKHmal ko KHwab ki
aashiq tamam shorish-e-ghash hue dekh kar
shura zamin se howe numaish sarab ki
laKHt-e-jigar hai soKHta aansun yanh kahan
baad-e-saba sun phuTe hai chashmen habab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.