bas-ki DhunDe ahl-e-dil un se sahab-e-dil hua
bas-ki DhūñDe ahl-e-dil un se sāhab-e-dil huā
jab phirā maiñ barsoñ tab ye aabla hāsil havā
vo gad-dalq-e-kuhan meñ jis ke sau paivand thā
jā sikandar is se haft iqlīm kā saa.il huā
dekh majnūñ ke ta.iiñ Tuk aur bār-e-ishq dekh
saḳht hairānī hai tinkā koh kā hāmil huā
imtihāñ maḳhsūs-e-ḳhāsāñ hai to 'rāsiḳh' shukr kar
yaar tere āzmāne kī taraf maa.il huā
bas-ki DhunDe ahl-e-dil un se sahab-e-dil hua
jab phira main barson tab ye aabla hasil hawa
wo gad-dalq-e-kuhan mein jis ke sau paiwand tha
ja sikandar is se haft iqlim ka sail hua
dekh majnun ke tain Tuk aur bar-e-ishq dekh
saKHt hairani hai tinka koh ka hamil hua
imtihan maKHsus-e-KHasan hai to 'rasiKH' shukr kar
yar tere aazmane ki taraf mail hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.