bas-ki hun dil-tang KHush aata hai sahra-e-qafas
bas-ki hun dil-tang KHush aata hai sahra-e-qafas
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
bas-ki huuñ dil-tañg ḳhush aatā hai sahrā-e-qafas
bulbul-e-be-bāl-o-par rakhtī hai saudā-e-qafas
pālnā manzūr hai to dast-parvar kar use
tā.ir-e-vahshī mabādā dekh mar jaa.e qafas
dekh ke sayyād ko mahv-e-tamāshā ho ga.ī
bulbul-e-tasvīr se mat pūchh īzā-e-qafas
ham-duā ho ham-safīro tā-ijābat ho qarīñ
rahm khā kar baaġh meñ sayyād phir laa.e qafas
ham-safīr is baaġh ke sab qaid tere ho chuke
ishaq mujh ko bhī dikhā de tū tamāshā-e-qafas
gul kī ḳhātir qaid meñ rahtī hai varna bāġhbāñ
nāla-e-jāñ-soz se bulbul ke jal jaa.e qafas
tīliyāñ ginte hī ginte umr ke dam ho chuke
taḳht se uḌ kar na pahuñche ishaq bālā-e-qafas
bas-ki hun dil-tang KHush aata hai sahra-e-qafas
bulbul-e-be-baal-o-par rakhti hai sauda-e-qafas
palna manzur hai to dast-parwar kar use
tair-e-wahshi mabaada dekh mar jae qafas
dekh ke sayyaad ko mahw-e-tamasha ho gai
bulbul-e-taswir se mat puchh iza-e-qafas
ham-dua ho ham-safiro ta-ijabat ho qarin
rahm kha kar bagh mein sayyaad phir lae qafas
ham-safir is bagh ke sab qaid tere ho chuke
ishaq mujh ko bhi dikha de tu tamasha-e-qafas
gul ki KHatir qaid mein rahti hai warna baghban
nala-e-jaan-soz se bulbul ke jal jae qafas
tiliyan ginte hi ginte umr ke dam ho chuke
taKHt se uD kar na pahunche ishaq baala-e-qafas
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 112)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.