Sufinama

basar hum ajab zindagi kar rahe hain

Behzad Lakhnavi

basar hum ajab zindagi kar rahe hain

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    basar ham ajab zindagī kar rahe haiñ

    kabhī rahe haiñ kabhī mar rahe haiñ

    ye naale ye aaheñ jo ham bhar rahe haiñ

    unheñ rū-shanās sitam kar rahe haiñ

    ḳhudā qasam bas ham jānte haiñ

    mohabbat duniyā meñ kyuuñ kar rahe haiñ

    na hans kar guzrī na ro kar ham se

    ajab haal meñ zindagī bhar rahe haiñ

    ta.ajjub na kar ġham na khā qalb-e-ġhamgīñ

    hamesha yahī un ke tevar rahe haiñ

    jafā.eñ kaaro shauq se tum jafā

    shikāyat ham tum se kab kar rahe haiñ

    shab-o-roz ro ro ke 'bahzād' giryāñ

    tabī.at ko mānūs-e-ġham kar rahe haiñ

    basar hum ajab zindagi kar rahe hain

    kabhi ji rahe hain kabhi mar rahe hain

    ye nale ye aahen jo hum bhar rahe hain

    unhen ru-shanas sitam kar rahe hain

    KHuda ki qasam bas hum hi jaante hain

    mohabbat ki duniya mein kyun kar rahe hain

    na hans kar hi guzri na ro kar hi hum se

    ajab haal mein zindagi bhar rahe hain

    tajjub na kar gham na kha qalb-e-ghamgin

    hamesha yahi un ke tewar rahe hain

    jafaen karo shauq se tum jafa ki

    shikayat hi hum tum se kab kar rahe hain

    shab-o-roz ro ro ke 'bahzad' giryan

    tabiat ko manus-e-gham kar rahe hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now