koh-e-furqat ye nanhe dil hai
koh-e-furqat ye nanhe dil hai
aise jiine se maut behtar hai
ham haiñ dil hai vo yār-e-dilbar hai
dil-rubā.ī kā Dar muqarrar hai
kaun kahtā hai vo sitamgar hai
jān-e-'āshiq hai rūh-parvar hai
par vo uThtā hai yaar ke ruḳh se
is liye apnā haath dil par hai
kuchh pata us kā ab nahīñ miltā
dil kahāñ aur kahāñ vo dilbar hai
hai haqīq meñ musht-e-ḳhāk insān
hamd-e-īzid ki paak bartar hai
bulbulo dekho vo ḳhizāñ aa.ī
ab chaman kī bahār dam bhar hai
kyā kahūñ apne dil kī be-tābī
raat bhārī hai din bhī patthar hai
vo jo rūThe haiñ be-sabab mujh se
ye mirī kHūbī-e-muqaddar hai
marhabā kyā ġhazal likhī hai 'bashīr'
bazm meñ vaah har zabāñ par hai
koh-e-furqat ye nanhe dil hai
aise jine se maut behtar hai
hum hain dil hai wo yar-e-dilbar hai
dil-rubai ka Dar muqarrar hai
kaun kahta hai wo sitamgar hai
jaan-e-'ashiq hai ruh-parwar hai
par wo uThta hai yar ke ruKH se
is liye apna hath dil par hai
kuchh pata us ka ab nahin milta
dil kahan aur kahan wo dilbar hai
hai haqiq mein musht-e-KHak insan
hamd-e-izid ki pak bartar hai
bulbulo dekho wo KHizan aai
ab chaman ki bahaar dam bhar hai
kya kahun apne dil ki be-tabi
raat bhaari hai din bhi patthar hai
wo jo ruThe hain be-sabab mujh se
ye meri kHubi-e-muqaddar hai
marhaba kya ghazal likhi hai 'bashir'
bazm mein wah har zaban par hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.