be-karan lazzat-e-paikan bhi nihan rakhte hain
be-karāñ lazzat-e-paikāñ bhī nihāñ rakhte haiñ
ya.anī ham kārgah-e-shīshagarāñ rakhte haiñ
raah chalte haiñ dhuñdlakoñ meñ bhaTak jaate haiñ
log āvārgī-e-shauq kahāñ rakhte haiñ
vaqt kā saaz unheñ raas kahāñ aatā hai
apnā ā.īna alag ḳhud nigarāñ rakhte haiñ
chheḌ ai dasht-e-balā shauq se tūfānoñ ko
paas nāmūs-e-junūñ zinda-dilāñ rakhte haiñ
aur to hazrat-e-nāzish meñ koī baat nahīñ
haañ magar ek alag tarz-e-fuġhāñ rakhte haiñ
be-karan lazzat-e-paikan bhi nihan rakhte hain
yani hum kargah-e-shishagaran rakhte hain
rah chalte hain dhundlakon mein bhaTak jate hain
log aawargi-e-shauq kahan rakhte hain
waqt ka saz unhen ras kahan aata hai
apna aaina alag KHud nigaran rakhte hain
chheD ai dasht-e-bala shauq se tufanon ko
pas namus-e-junun zinda-dilan rakhte hain
aur to hazrat-e-nazish mein koi baat nahin
han magar ek alag tarz-e-fughan rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.