be-murawwat bewafā nā-mehrbāñ nā-āshnā
be-muravvat bevafā nā-mehrbāñ nā-āshnā
jis ke ye ausāf koī us se ho kyā āshnā
tañg ho saa.e se apne jis ko ho nā-āshnā
vo but-e-vahshī-e-tabī.at kis kā hogā āshnā
vaah vaah ai dil-bar-e-kaj-fahm yūñhī chāhiye
ham se ho nā-āshnā ġhairoñ se honā āshnā
bad-mizājī nā-ḳhushī āzurdagī kis vāste
gar bure ham haiñ to ho jiye aur se jā āshnā
ye sitam ye dard ye ġham aur alam mujh par huā
kaash ki tujh se maiñ ai zālim na hotā āshnā
ne tarahhum ne karam ne mehr hai ai bevafā
kis tavaqqo par bhalā ho koī terā āshnā
āshnā kahne ko yuuñ to aap ke hoveñge sau
par koī ai mehrbāñ aisā na hogā āshnā
ḳhair-ḳhvāh o muḳhlis o fidvī jo kuchh kahiye so huuñ
aib kyā hai gar rahe ḳhidmat meñ mujh sā āshnā
āshnā.ī kī tavaqqo.a kis se ho 'bedār' phir
ho gayā begāna jab aisā hī apnā āshnā
be-murawwat bewafā nā-mehrbāñ nā-āshnā
jis ke ye ausāf koī us se ho kyā āshnā
tañg ho sae se apne jis ko ho nā-āshnā
wo but-e-wahshī-e-tabīat kis kā hogā āshnā
wah wah ai dil-bar-e-kaj-fahm yūñhī chāhiye
hum se ho nā-āshnā ġhairoñ se honā āshnā
bad-mizājī nā-ḳhushī āzurdagī kis wāste
gar bure hum haiñ to ho jiye aur se jā āshnā
ye sitam ye dard ye ġham aur alam mujh par huā
kash ki tujh se maiñ ai zālim na hotā āshnā
ne tarahhum ne karam ne mehr hai ai bewafā
kis tawaqqo par bhalā ho koī terā āshnā
āshnā kahne ko yuñ to aap ke howeñge sau
par koī ai mehrbāñ aisā na hogā āshnā
ḳhair-ḳhwāh o muḳhlis o fidwī jo kuchh kahiye so huñ
aib kyā hai gar rahe ḳhidmat meñ mujh sā āshnā
āshnāī kī tawaqqoa kis se ho 'bedār' phir
ho gayā begāna jab aisā hī apnā āshnā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.