Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

justuju karte hi karte kho gaya

Bedam Shah Warsi

justuju karte hi karte kho gaya

Bedam Shah Warsi

justujū karte karte kho gayā

un ko jab paayā to ḳhud gum ho gayā

kyā ḳhabar yārān-e-rafta mile

phir na aayā us galī meñ jo gayā

jab uThāyā us ne apnī bazm se

baḳht jaage paañv merā so gayā

mujh ko hai kho.e hue dil talāsh

aur vo kahte haiñ ki jaane do gayā

ḳhair hai kyuuñ is qadar betāb haiñ

hazrat-e-dil aap ko kyā ho gayā

vo mirī bālīñ aa kar phir ga.e

jaag kar merā muqaddar so gayā

aaj phir 'bedam' hālat ġhair hai

mai-kasho lenā zarā dekho gayā

justuju karte hi karte kho gaya

un ko jab paya to KHud gum ho gaya

kya KHabar yaran-e-rafta ki mile

phir na aaya us gali mein jo gaya

jab uThaya us ne apni bazm se

baKHt jage panw mera so gaya

mujh ko hai khoe hue dil ki talash

aur wo kahte hain ki jaane do gaya

KHair hai kyun is qadar betab hain

hazrat-e-dil aap ko kya ho gaya

wo meri baalin aa kar phir gae

jag kar mera muqaddar so gaya

aaj phir 'bedam' ki haalat ghair hai

mai-kasho lena zara dekho gaya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now