Sufinama

chala hun aaj ye saughat le kar unki mahfil mein

Bedam Shah Warsi

chala hun aaj ye saughat le kar unki mahfil mein

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    chalā huuñ aaj ye sauġhāt le kar un mahfil meñ

    jalan siine meñ ashk āñkhoñ meñ ḳhūn-e-ārzū dil meñ

    khichā aur khich ke ḳhanjar rah gayā phir dast-e-qātil meñ

    diyā qismat ne dhokā dil hasrat rah ga.ī dil meñ

    na nikleñge to kyā armāñ na nikleñge mere dil ke

    to kyā ghuT-ghuT ke mar jā.egī merī aarzū dil meñ

    dil-e-marhūm mātam karūñ ro.uuñ us din ko

    tumhāre chāhne jab paḌī thī ibtidā dil meñ

    tire milne hasrat nahīñ ik jaan dushman

    qiyāmat Dhā rahī hai jo tamannā hai mere dil meñ

    ḳhayāl-e-yār ke aate ye be-tābiyāñ kaisī

    jo aanā thā use ban kar qarār aatā mire dil meñ

    judā hone Thahrā.ī to maiñ marne Thānuñgā

    mujhe ābād karnā hai to aa baiTho mire dil meñ

    bhalā 'bedam' use phir jām-e-jam kyā zarūrat hai

    jise sair-e-do-ālam ho rahī ho kāsa-e-dil meñ

    chala hun aaj ye saughat le kar un ki mahfil mein

    jalan sine mein ashk aankhon mein KHun-e-arzu dil mein

    khicha aur khich ke KHanjar rah gaya phir dast-e-qatil mein

    diya qismat ne dhoka dil ki hasrat rah gai dil mein

    na niklenge to kya arman na niklenge mere dil ke

    to kya ghuT-ghuT ke mar jaegi meri aarzu dil mein

    dil-e-marhum ka matam karun ya roun us din ko

    tumhaare chahne ki jab paDi thi ibtida dil mein

    tere milne ki hasrat hi nahin ek jaan ki dushman

    qiyamat Dha rahi hai jo tamanna hai mere dil mein

    KHayal-e-yar ke aate hi ye be-tabiyan kaisi

    jo aana tha use ban kar qarar aata mere dil mein

    juda hone ki Thahrai to main marne ki Thanunga

    mujhe aabaad karna hai to aa baiTho mere dil mein

    bhala 'bedam' use phir jam-e-jam ki kya zarurat hai

    jise sair-e-do-alam ho rahi ho kasa-e-dil mein

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Bedam (Pg. 406)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now