chala hun aaj ye saughat le kar unki mahfil mein
chalā huuñ aaj ye sauġhāt le kar un kī mahfil meñ
jalan siine meñ ashk āñkhoñ meñ ḳhūn-e-ārzū dil meñ
khichā aur khich ke ḳhanjar rah gayā phir dast-e-qātil meñ
diyā qismat ne dhokā dil kī hasrat rah ga.ī dil meñ
na nikleñge to kyā armāñ na nikleñge mere dil ke
to kyā ghuT-ghuT ke mar jā.egī merī aarzū dil meñ
dil-e-marhūm kā mātam karūñ yā ro.uuñ us din ko
tumhāre chāhne kī jab paḌī thī ibtidā dil meñ
tire milne kī hasrat hī nahīñ ik jaan kī dushman
qiyāmat Dhā rahī hai jo tamannā hai mere dil meñ
ḳhayāl-e-yār ke aate hī ye be-tābiyāñ kaisī
jo aanā thā use ban kar qarār aatā mire dil meñ
judā hone kī Thahrā.ī to maiñ marne kī Thānuñgā
mujhe ābād karnā hai to aa baiTho mire dil meñ
bhalā 'bedam' use phir jām-e-jam kī kyā zarūrat hai
jise sair-e-do-ālam ho rahī ho kāsa-e-dil meñ
chala hun aaj ye saughat le kar un ki mahfil mein
jalan sine mein ashk aankhon mein KHun-e-arzu dil mein
khicha aur khich ke KHanjar rah gaya phir dast-e-qatil mein
diya qismat ne dhoka dil ki hasrat rah gai dil mein
na niklenge to kya arman na niklenge mere dil ke
to kya ghuT-ghuT ke mar jaegi meri aarzu dil mein
dil-e-marhum ka matam karun ya roun us din ko
tumhaare chahne ki jab paDi thi ibtida dil mein
tere milne ki hasrat hi nahin ek jaan ki dushman
qiyamat Dha rahi hai jo tamanna hai mere dil mein
KHayal-e-yar ke aate hi ye be-tabiyan kaisi
jo aana tha use ban kar qarar aata mere dil mein
juda hone ki Thahrai to main marne ki Thanunga
mujhe aabaad karna hai to aa baiTho mere dil mein
bhala 'bedam' use phir jam-e-jam ki kya zarurat hai
jise sair-e-do-alam ho rahi ho kasa-e-dil mein
- Book : Kulliyat-e-Bedam (Pg. 406)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.