Sufinama

yun gulshan-e-hasti ki mali ne bana Dali

Bedam Shah Warsi

yun gulshan-e-hasti ki mali ne bana Dali

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    yuuñ gulshan-e-hastī maalī ne banā Daalī

    phūloñ se judā kaliyāñ kaliyoñ se judā Daalī

    sar rakh ke hathelī par aur laḳht-e-jigar chun kar

    sarkār meñ laa.e haiñ arbāb-e-vafā Daalī

    ruuyā kahūñ maiñ us ko muzda-e-bedārī

    ġhul hai ki naqāb us ne chehre se uThā Daalī

    allāh-re tasavvur naqqāshī-o-nairañgī

    jab ban ga.ī ik sūrat ik shakl miTā Daalī

    saaqī ne sitam Dhāyā barsāt meñ tarsāyā

    jab fasl-e-bahār aa.ī dūkān uThā Daalī

    ḳhūn-e-dil-e-āshiq ke us qatre kyā kahnā

    duniyā-e-vafā jis ne rañgīn banā Daalī

    'bedam' tire girya ne tūfān uThā Daale

    aur nāloñ ne duniyā buniyād hilā Daalī

    yun gulshan-e-hasti ki mali ne bana Dali

    phulon se juda kaliyan kaliyon se juda Dali

    sar rakh ke hatheli par aur laKHt-e-jigar chun kar

    sarkar mein lae hain arbab-e-wafa Dali

    ruya kahun main us ko ya muzda-e-bedari

    ghul hai ki naqab us ne chehre se uTha Dali

    allah-re tasawwur ki naqqashi-o-nairangi

    jab ban gai ek surat ek shakl miTa Dali

    saqi ne sitam Dhaya barsat mein tarsaya

    jab fasl-e-bahaar aai dukan uTha Dali

    KHun-e-dil-e-ashiq ke us qatre ka kya kahna

    duniya-e-wafa jis ne rangin bana Dali

    'bedam' tere girya ne tufan uTha Dale

    aur nalon ne duniya ki buniyaad hila Dali

    Source :
    • Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 63)
    • Author : Bedam Shah Warsi
    • Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now