Font by Mehr Nastaliq Web

kabhī yahan liye hue kabhī wahan liye hue

Bedam Shah Warsi

kabhī yahan liye hue kabhī wahan liye hue

Bedam Shah Warsi

kabhī yahāñ liye hue kabhī vahāñ liye hue

phirī hai justujū tirī kahāñ kahāñ liye hue

zamīn-e-dil ḳhaak hai sad-āsmāñ liye hue

tanazzūlāt-e-ishq meñ taraqqiyāñ liye hue

dil-o-jigar liye hue matā-e-jāñ liye hue

kisī nāvak-e-nazar talāshiyāñ liye hue

usī galī se aa.ī hai shamīm-e-zulf laa.ī hai

nasīm-e-sub.h aa.ī hai tasalliyāñ liye hue

mire ġham-e-nihāñ meñ hai naved-e-ishrat-āfrīñ

bahār bahār hai mirī ḳhizāñ liye hue

hamārī aah ke sharar hamīñ ko phūñkne lage

havā ke jhoñke aa.e saath bijliyāñ liye hue

tirī galī meñ māh-rū paḌe hue haiñ chār-sū

tamām zarre ḳhaak ke tajalliyāñ liye hue

na qurb-e-gul taab thī na hijr-e-gul meñ chain thā

chaman chaman phire ham apnā āshiyāñ liye hue

nigāh-e-ahl-e-rāz meñ haqīqat-o-majāz meñ

hamārī be-nishāniyāñ tirā nishāñ liye hue

uThe haiñ hashr meñ fidā-e-kū-e-yār is tarah

jabīñ meñ sajde dil meñ yād-e-āstāñ liye hue

na dil milegā 'bedam' aur na dil hasrateñ kahīñ

ki gum huā hai yūsuf apnā kārvāñ liye hue

kabhī yahan liye hue kabhī wahan liye hue

phiri hai justuju teri kahan kahan liye hue

zamin-e-dil ki KHak hai sad-asman liye hue

tanazzulat-e-ishq mein taraqqiyan liye hue

dil-o-jigar liye hue mata-e-jaan liye hue

kisi ka nawak-e-nazar talashiyan liye hue

usi gali se aai hai shamim-e-zulf lai hai

nasim-e-subh aai hai tasalliyan liye hue

mere gham-e-nihan mein hai nawed-e-ishrat-afrin

bahaar hi bahaar hai meri KHizan liye hue

hamari aah ke sharar hamin ko phunkne lage

hawa ke jhonke aae sath bijliyan liye hue

teri gali mein mah-ru paDe hue hain chaar-su

tamam zarre KHak ke tajalliyan liye hue

na qurb-e-gul ki tab thi na hijr-e-gul mein chain tha

chaman chaman phire hum apna aashiyan liye hue

nigah-e-ahl-e-raaz mein haqiqat-o-majaz mein

hamari be-nishaniyan tera nishan liye hue

uThe hain hashr mein fida-e-ku-e-yar is tarah

jabin mein sajde dil mein yaad-e-astan liye hue

na dil milega 'bedam' aur na dil ki hasraten kahin

ki gum hua hai yusuf apna karwan liye hue

Source :
  • Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 149)
  • Author : Bedam Shah Warsi
  • Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now