hua KHatm hasti ka meri fasana
huā ḳhatm hastī kā merī fasāna
badaltā rahe karvaTeñ ab zamāna
abhī bijlī jis ko jalā kar ga.ī hai
usī shāḳh par thā mirā āshiyāna
na hañste bane aur na rote hī 'bedam'
mohabbat kā hai kuchh ajab kārḳhāna
hua KHatm hasti ka meri fasana
badalta rahe karwaTen ab zamana
abhi bijli jis ko jala kar gai hai
usi shaKH par tha mera aashiyana
na hanste bane aur na rote hi 'bedam'
mohabbat ka hai kuchh ajab karKHana
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 75)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.