saz-e-fitrat hai zamzama-e-pir-waz
sāz-e-fitrat hai zamzama-e-pīr-vāz
zarra-zarra hai gosh bar-āvāz
kyā haqīqat hai dil kī banda-navāz
naaz kartī hai har nigāh-e-nāz
āshiyāne ke chaar tinkoñ se
kyuuñ chamaktī hai barq-e-’ishva-tarāz
ātish-e-jalva phūñk de mujh ko
merā dil hai kalīm kā hamrāz
aa rahī hai qarīb shām-e-abad
de rahā hai sadā alasto kā saaz
maz.har-e-shān-e-kibriyā huuñ maiñ
kyuuñ jhukā.ūñ kahīñ jabīn-e-niyāz
baḳht-e-ḳhufta na ho sakā 'bedār'
sahr kartī harī nigāh-e-nāz
saz-e-fitrat hai zamzama-e-pir-waz
zarra-zarra hai gosh bar-awaz
kya haqiqat hai dil ki banda-nawaz
naz karti hai har nigah-e-naz
aashiyane ke chaar tinkon se
kyun chamakti hai barq-e-’ishwa-taraaz
aatish-e-jalwa phunk de mujh ko
mera dil hai kalim ka hamraaz
aa rahi hai qarib sham-e-abad
de raha hai sada alasto ka saz
mazhar-e-shan-e-kibriya hun main
kyun jhukaun kahin jabin-e-niyaz
baKHt-e-KHufta na ho saka 'bedar'
sahr karti hari nigah-e-naz
- Book : Aaina-e-Ehsas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.