dushman-e-jaan hoga wo dildar kya malum tha
dushman-e-jān hogā vo dildār kyā mā'lūm thā
hogā sūrat se mirī bezār kyā mā'lūm thā
muddatoñ ḳhūn-e-jigar khāyā talāsh yaar meñ
parda-e-dil meñ thā vo 'ayyār kyā mā'lūm thā
ham to samjhe the kareñge mujh pe ulfat kī nazar
pher deñge un kā dil aġhyār kyā mā'lūm thā
be-takalluf tum milo ġhairoñ se aur mere liye
band hoveñ rauzan-e-dīvār kyā mā'lūm thā
terī ulfat meñ rahī gardish bhī misl-e-gard-bād
daaġh uThā.e dil pe lālā-dār kyā mā'lūm thā
yak-ba-yak ho jā.eñge kHvāhān-e-jān-e-nā-tavāñ
chashm-o-abrū gesū-o-ruḳhsār kyā mā'lūm thā
ham vahī haiñ jo tirī nazroñ meñ the har dam 'azīz
ab to haiñ har taur se nā-chār kyā mā'lūm thā
thī tamannā-e-visāl ai mah-jabīñ mujh ko vale
ek bose meñ bhī hai inkār kyā mā'lūm thā
apne bīmār-e-mohabbat par the lāzim-e-iltifāt
bhūloge vo agle qaul-e-iqrār kyā mā'lūm thā
dushman-e-jaan hoga wo dildar kya ma'lum tha
hoga surat se meri bezar kya ma'lum tha
muddaton KHun-e-jigar khaya talash yar mein
parda-e-dil mein tha wo 'ayyar kya ma'lum tha
hum to samjhe the karenge mujh pe ulfat ki nazar
pher denge un ka dil aghyar kya ma'lum tha
be-takalluf tum milo ghairon se aur mere liye
band howen rauzan-e-diwar kya ma'lum tha
teri ulfat mein rahi gardish bhi misl-e-gard-baad
dagh uThae dil pe lala-dar kya ma'lum tha
yak-ba-yak ho jaenge kHwahan-e-jaan-e-na-tawan
chashm-o-abru gesu-o-ruKHsar kya ma'lum tha
hum wahi hain jo teri nazron mein the har dam 'aziz
ab to hain har taur se na-chaar kya ma'lum tha
thi tamanna-e-visal ai mah-jabin mujh ko wale
ek bose mein bhi hai inkar kya ma'lum tha
apne bimar-e-mohabbat par the lazim-e-iltifat
bhuloge wo agle qaul-e-iqrar kya ma'lum tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.