tap-e-gham se meri haalat hai abtar dekhte jao
tap-e-ġham se mirī hālat hai abtar dekhte jaao
zarā hāl-e-dil-e-be-tāb-o-muztar dekhte jaao
sabā ne kākul-e-mushkīñ ko chheḌā dosto lekin
ḳhafā hotā hai mujh par vo sitam-gar dekhte jaao
tumhāre rū-e-ātishnāk kī garmī se gulshan meñ
pasīne meñ hai Duubā har gul-e-tar dekhte jaao
kamar-basta tire aage ghaḌe haiñ ai mah-e-ḳhūbī
gulistāñ meñ gul-o-sarv-e-nanobar dekhte jaao
Dubo deñge jahāñ ko ek dam meñ apnī maujoñ se
hai tuġhyānī pe bahr-e-dīda-e-tar dekhte jaao
ġhalat-fahmī hai logoñ kī jo kahte haiñ hilāl us ko
tumhārā nāḳhun-e-pā hai falak par dekhte jaao
nahīñ ai hamdamo vāqif haiñ vo soz-e-mohabbat se
jigar jal kar huā yaañ misl-e-aḳhgar dekhte jaao
hazāroñ ḳhatre haiñ ai ham-safīro rāh-e-ulfat meñ
hai har-har gaam par yaañ teġh-o-ḳhanjar dekhte jaao
masīhā ho ke nafrat karte ho 'bīmār'-e-ulfat se
koī dam kā hai mehmāñ us ko dam-bhar dekhte jaao
tap-e-gham se meri haalat hai abtar dekhte jao
zara haal-e-dil-e-be-tab-o-muztar dekhte jao
saba ne kakul-e-mushkin ko chheDa dosto lekin
KHafa hota hai mujh par wo sitam-gar dekhte jao
tumhaare ru-e-atishnak ki garmi se gulshan mein
pasine mein hai Duba har gul-e-tar dekhte jao
kamar-basta tere aage ghaDe hain ai mah-e-KHubi
gulistan mein gul-o-sarw-e-nanobar dekhte jao
Dubo denge jahan ko ek dam mein apni maujon se
hai tughyani pe bahr-e-dida-e-tar dekhte jao
ghalat-fahmi hai logon ki jo kahte hain hilal us ko
tumhaara naKHun-e-pa hai falak par dekhte jao
nahin ai hamdamo waqif hain wo soz-e-mohabbat se
jigar jal kar hua yan misl-e-aKHgar dekhte jao
hazaron KHatre hain ai ham-safiro rah-e-ulfat mein
hai har-har gam par yan tegh-o-KHanjar dekhte jao
masiha ho ke nafrat karte ho 'bimar'-e-ulfat se
koi dam ka hai mehman us ko dam-bhar dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.