kahe koi kisi se satana tumhaara
kahe koī kisī se satānā tumhārā
ḳhudā.ī tumhārī zamāna tumhārā
miTā kar mujhe miTāoge kis ko
chalo ho chukā āzmānā tumhārā
hameñ us se kyā vo adū ho ki naasā
kahe jaaye koī fasāna tumhārā
kidhar haiñ nigāheñ mire dil ke hote
ḳhatā kar rahā hai nishāna tumhārā
paḌe ġhash ho kyā be-nazīr aañkh kholo
hilā.eñge kab tak vo shānā rā
kahe koi kisi se satana tumhaara
KHudai tumhaari zamana tumhaara
miTa kar mujhe miTaoge kis ko
chalo ho chuka aazmana tumhaara
hamein us se kya wo adu ho ki nasa
kahe jaye koi fasana tumhaara
kidhar hain nigahen mere dil ke hote
KHata kar raha hai nishana tumhaara
paDe ghash ho kya be-nazir aankh kholo
hilaenge kab tak wo shana ra
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 53)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.