wo lazzat taDapne ki kam ho gai
vo lazzat taḌapne kī kam ho ga.ī
kisī kī vafā bhī sitam ho ga.ī
ḳhudā jaane vo jā rahe the kahāñ
idhar bhī nigāh-e-karam ho ga.ī
tirī farsh-e-rāh ho ke uThī na phir
merī aañkh naqsh-e-qadam ho ga.ī
ye dekhā kise naza.a meñ 'benazīr'
mirī ruuh jo tāza-dam ho ga.ī
wo lazzat taDapne ki kam ho gai
kisi ki wafa bhi sitam ho gai
KHuda jaane wo ja rahe the kahan
idhar bhi nigah-e-karam ho gai
teri farsh-e-rah ho ke uThi na phir
meri aankh naqsh-e-qadam ho gai
ye dekha kise naza mein 'benazir'
meri ruh jo taza-dam ho gai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 53)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.