Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

but bhi is mein rahte the dil yar ka bhi kashana tha

Bedam Shah Warsi

but bhi is mein rahte the dil yar ka bhi kashana tha

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    but bhī is meñ rahte the dil yaar bhī kāshāna thā

    ek taraf ka.abe ke jalve ek taraf but-ḳhāna thā

    dilbar haiñ ab dil ke mālik ye bhī ek zamāna hai

    dil vaale kahlāte the ham vo bhī ek zamāna thā

    phuul na the ārā.ish thī us mast-adā aamad par

    haath meñ Daalī Daalī ke ek halkā paimāna thā

    hosh na thā be-hoshī thī be-hoshī meñ phir hosh kahāñ

    yaad rahī ḳhāmoshī thī jo bhuul ga.e afsāna thā

    dil meñ vasl ke armāñ bhī the aur malāl-e-furqat bhī

    ābādī ābādī vīrāne vīrāna thā

    uf-re bād-e-josh-e-javānī aañkh na un uThtī thī

    mastāna har ek adā thī har ishva mastāna thā

    sham.a ke jalve bhī yā-rab kyā ḳhvāb thā jalne vāloñ

    sub.h jo dekhā mahfil meñ parvāna parvāna thā

    dekh ke vo tasvīr mirī kuchh kho.e hue se kahte haiñ

    haañ haañ yaad to aatā hai is shakl ik dīvāna thā

    ġhair shikva kyūñkar rahtā dil meñ jab ummīdeñ thiiñ

    apnā phir bhī apnā thā begāna phir begāna thā

    'bedam' is andāz se kal yuuñ ham ne kahī apnī biitī

    har ek ne samjhā mahfil meñ ye merā afsāna thā

    but bhi is mein rahte the dil yar ka bhi kashana tha

    ek taraf kabe ke jalwe ek taraf but-KHana tha

    dilbar hain ab dil ke malik ye bhi ek zamana hai

    dil wale kahlate the hum wo bhi ek zamana tha

    phul na the aaraish thi us mast-ada ki aamad par

    hath mein Dali Dali ke ek halka sa paimana tha

    hosh na tha be-hoshi thi be-hoshi mein phir hosh kahan

    yaad rahi KHamoshi thi jo bhul gae afsana tha

    dil mein wasl ke arman bhi the aur malal-e-furqat bhi

    aabaadi ki aabaadi virane ka virana tha

    uf-re baad-e-josh-e-jawani aankh na un ki uThti thi

    mastana har ek ada thi har ishwa mastana tha

    shama ke jalwe bhi ya-rab kya KHwab tha jalne walon ka

    subh jo dekha mahfil mein parwana hi parwana tha

    dekh ke wo taswir meri kuchh khoe hue se kahte hain

    han han yaad to aata hai is shakl ka ek diwana tha

    ghair ka shikwa kyunkar rahta dil mein jab ummiden thin

    apna phir bhi apna tha begana phir begana tha

    'bedam' is andaz se kal yun hum ne kahi apni biti

    har ek ne samjha mahfil mein ye mera hi afsana tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now